Lyrics
Jalte bhi gaye kehte bhi gaye azaadi ke parwane
Jeena to usi ka jeena hai
Jo marna watan pe jaane
Aye watan, aye watan, humko teri kasam
Teri raahon mein jaan tak lutaa jaayenge
Phool kya cheez hai, tere kadamon pe hum
Bhet apna saron ki chadhaa jaayenge
Aye watan aye watan humko teri kasam
Teri raahon mein jaan tak lutaa jaayenge
Aye watan aye watan
Seh chuke hain sitam hum bohat gair ke
Ab karenge har ek vaar ka saamna
Seh chuke hain sitam hum bohat gair ke
Ab karenge har ek vaar ka saamna
Jhuk sakega na ab sarfaroshon ka sar
Chaahe ho khooni talwar ka saamna
Chaahe ho khooni talwar ka saamna
Sar pe baandhe kafan hum to hanste hue
Maut ko bhi gale se lagaa jayenge
Aye watan aye watan