Song
Phir Haath Mein
Name of the album
Compilation
Artist
Pankaj Udhas
Lyrics
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main

Ye cheez lajwaab hai
Ye cheez lajwaab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main
Gin kar piyoon main jaam to hota nahin nasha

Mera alag hisaab hai
Mera alag hisaab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main
Saqi yakeen na aaye to, gardan jhuka ke dekh

Sheeshe mein maahtaab hai
Sheeshe mein maahtaab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main
Haathon mein ek jaam hai, honthon pe ek ghazal

Baaki khayal-o-khwab hai
Baaki khayal-o-khwab hai, sach bolta hoon main